in

Mark Zuckerberg Signal Use Krne Ko Lekr Hue Troll

Pichle dino social media platform Facebook ke 53 crore users ka data leak hua tha jisme se ek account khud Facebook ke founder Mark Zuckerberg ka paya gaya. Sath hi ek bada Khulasa ye bhi hua ki Facebook and instant messaging app Whatsapp ke owner apne competittor Signal App ka use krte hain.

Facebook-Whatsapp new data policy ke baad se Signal apne security features ko lekar kaafi famous hua tha. Signal App apne users ko End to End Encyption facility deta hai jisse users ko private data safe hone ki surety mil jati hai.

Founder of SpaceX organisation

4 April ko cybersecurity expert “Dave Walker” ne leaked database se ek photo ko release karte hue kaha ki Mark Zuckerberg ka personal number aur data ko hackers ne publicly leak kar diya hai. Saath hi ek tweet me ye bhi dikhaya gaya ki Mark Zuckerberg Signal use karte hai. Ye baat jab Signal ko pata chali to turant uske taraf se ek official notification release kiya gaya jisme likha tha “Whatsapp ki privacy policy ki deadline 15 May se pehle Mark ne Signal App use karna start kar diya, ye unke privacy concerns ko dikhata hai”.

Mark Zuckerberg – 15 May Se WhatsApp Ki Nayi Privacy Policy Hogi Effective

WhatsApp aur uski parent company Facebook ko apne privacy concerns ko lekar kaafi criticism ka samna karna pada tha. Ab WhatsApp ke new privacy policy ko 15 May se effectively implement kiya jayega jisme users ke personal data jaise contacts, photos ko third party applications ke sath share kiya jayega.

53 Crore Users Ka Data Hua Leak

Data Leak

Facebook data leak history ka sabse bada data leak hai. Esme approx. 53 Crore se bhi jyada users ke data ko leak kiya gaya hai jisme se ek account Facebook-WhatsApp ke CEO Mark Zuckerberg ka bhi hai. Leaked kiye gaye data me users ke mobile numbers, photos aur personal details bhi included thi. Cyber Experts ki mane ko esme 11 million U.K ke users aur 6 million Indian users ka data leak hua hai jisme unke birthday, bio-data aur password jaise essential details bhi the.


Mark Zuckerberg | Signal News | Rv Talks ab Telegram par,pae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Macrotech Developers Ka khula hai IPO: Kya Karna Chahiye Subscribe?

Dia Mirza

Dia Mirza Hui Unki Pregnancy K Liye Troll.