in

WowWow

Sputnik V, India Ka Ek Naya Corona Virus Ka Vaccine.

India me Russia ke Vaccine Sputnix V ko finally mil gaya clearance. India me Drug Controller General of India ne Sputnik V ko India me Emergency use Ke liye approval de diya. Sputnik V , Russia me bani ek vaccine hai jiise waha ke President Vladimir Putin ne August 2020 me public use ke liye declare kar diya tha.

About Sputnik V vaccine:

Sputnik V ko Gamaleya National Research Institute of Epidemiology and Microbiology in Moscow ne develop kia tha. Sputnik V ko 2 dosage me diya jaata hai. Ab tak over 55 countries and about 1.5 billion logo ke population ke across ise vaccine ko approval mil chuka hai. Vaccine developers ke according ise vaccine ke ek shot ka price around 10 Dollar hai. Russia me ise virus ki 3rd phase ke trails ke baad Ise vaccine ki efficacy around 91.6 percent payi gayi. The Indian Express ke report ke according India me Dr Reddy’s ne ek research conduct kia aur isse Vaccine ko emergency use ke liye approval de diya. Sputnik V ke doh dosage hote hai and dono dosage ke beech me 21 days ka interval hota hai. Ise  vaccine me 2 alag tarah ke virus ka use hota hai, paitent ke bodies me antibodies produce karne ke liye joh Corona ke virus ke against fight karenge. Russia Direct Investment Fund ke according Sputnik V, 2 alag vectors ka use karta  hai apne different dosages ke liye and ise process se ye vaccine baaki vaccines ke comparison me zada immunity provide karta hai. Sputnik V ko bahut hi low temperature me rakha jata hai. Sputnik V agar liquid form me rahe toh usse -18 C me rakha jaata and freeze dried form me 2 to -8 C ke temperature me. India ko include karke ab tak 60 conties ne Sputnik V ko emergency use ke liye approval de diya hai.

How Do Sputnik V, Covaxin and Covishield Work? Science Behind Covid-19  Vaccines
source: News 18

India Me Sputnik V Vaccine Production Ka Condition:

India me abhi Corona Virus ka second wave chal raha hai and bahut saare states me lockdown bhi lagna start hogaya hai. India me Sputnik V 3rd Vaccine jisse approval mila hai emergency use ke liye. Sputnik V ke pahle India me Covishield and Covaxin ko approval mila hai jisse Serum Institute of India and Bharat Biotech ne banaya hai. India me abhi recently hi Vaccines ki sortage dekhne ko mili hai and bahut saare states apne final stocks par gaye hai. The Indian Express ke report ke according SII ke CEO Adar Poonawalla ne announce kia ki company ki Covishield ki 100 million dosage banana ka target kuch months aage badh gaya hai. Recently hi Pune me ek upcoming faculty me aag lagne ke wagah se aisa hua hai. Pune ki firm ab isse target ko July tak reach kar payegi. Russia Direct Investment Fund ke CEO ne kaha hai ki India me isse vaccine ki over 850 million dosages banayi jayengi annually. Ise amount me production ke bad 425 million logo ke liye hamare paas vaccine honge.

Russia Sputnik V vaccine, Sputnik V vaccine efficacy, Sputnik V vaccine  Price, Sputnik V vaccine news, Sputnik V approva | India News – India TV
source: India Tv

Sputnik V | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

ICSE Aur ISC Ke Board Exams Bhi Hue Cancel!!

Fast And Furious 9 Ne Launch Kiya Ek Naya Trailer