in

WTFWTF

Prince Harry Par Laga Jhoote Saadi Ke Waade Ka Inzaam, Punjab Ke High Court Me.

Recently hi Punjab ke high court me ek case aaya jaha ek lawyer nae ek petition daala tha Prince Harry ke against. Petition me Prince Harry Ke Upar Jhoote saadi ke wade ka inzaam lagaya gaya. Court nae ise petition ko null declare kar diya. Janiye Judge nae kya kaha ise matter par and kya kahna tha ise lawyer ka apne case ke liye.

Lawyer ka  Kya Kahna Tha Prince Harry Ke Against:

Ise Petition me lawyer nae kaha tha ki Prince Harry nae ek lady se saadi ka waada kia aur ab inkaar kar rahe hai. Lawyer ka kahna tha ki Court ko Harry ke against apna promise na rakhne ko lekar case karna chahia, petition me yae bhi demand ki gayi ki United Kingdom ke police ko bhi Prince Harry ke against action lena chahia. Lawyer nae court se yeh bhi request kia ki Prince Harry ke against ek arrest warrant jaldh se jaldh nikalna chahia so that marriage me aur deri na ho. Lawyer nae bataya ki uske client ki baat Prince Harry se sirf social media par hi hui thi aur wahi Harry nae usse lawyer ke client se mairrage ka waada kia tha. Report me yeh bhi kaha gaya tha ki usse lady ki baat Prince Charles se bhi hui thi Usse lady aur Prince ke engagement ko lekar.

Prince Harry got accused of false marriage promises.
source: Hello!magazine

Court Ka Kya Kahna Raha Ise Case Ko Lekar:

Court nae kaha ki ise case ke support me koi strong evidence nahi hai. Social media par Fake IDs bahut common baat hai and ho sakta hai yae kisi ka koi prank ho. Court nae Petition ko decline kar diya. Justic Arvind Singh Sawan ka kahna raha ki yae petition bas kisi ke Prince Harry sae saadi karne ke sapne ki tarah hai jiska koi ground nahi hai. Court nae petition ko decline karte hue kaha ki unhe puri humdardi hai usse jisne aise fake Chats par biswas kiya.Court ne kaha ki petition ek bahut hi rough format me submit kia gaya tha aur usme bahut saare grammatical mistakes and logical mistakes tha. Judge ne kaha ki ho sakta hai ki jisse Prince Harry ka Lawyer intezzar kar rahi ho woh Punjab ke hi kisi cyber cafe me baith kar unse baat kar rahe ho. Court nae apne investigation me paya ki koi bhi petation ab tak United Kingdom me sbmit nahi kia gaya hai . Court nae ise case ko ek open and close bataya and bina aur time waste kia isse case ko bandh kar diya.

Prince Harry Case at Punjab High Court
source : Sabrang India

Prince Harry | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Infosys Ke Share Kya Buy Back Hoo Sakta Hai?

ICSE Aur ISC Ke Board Exams Bhi Hue Cancel!!