in

WowWow

Skin Healthy Rakhne Ke Liye Khaaye Yeh 5 Cheeze

Jaisa ki hum sab jaante hai, nutrition humaari health ke liye bahut hi important hota hai. Agar hum unhealthy khana khayenge, tho wo humaari body ke organs ke liye khatarnaak ho sakta hai. Yaha tak ki kuchh tarah ke unhealthy foods khaane se weight gain ki problem bhi ho sakti hai. Lekin, jo hum khaate hai, uska effect humaari skin par bhi hota hai. Scientists ki research ke according, humaari diet, humaari skin ki health aur ageing mein ek bahut bada role play karti hai. Is article mein hum aap ko aise 5 foods ke baare mein batayenge, jo aap ki skin ko healthy rahne mein helpful hote hai.

Fatty Fish

Fatty fishes, jaise salmon, mackerel aur herring, healthy skin paane ke liye bahut hi achhi choices hai. Yeh saari fishes omega-3 fatty acids ki source hai, jo skin health ke liye bahut important hai. Omega-3 fatty acids, skin ko thick aur moisturized rakhne mein help karta hai.

Omega-3 fatty acid ki kami se aap ki skin dry aur sookhi ho sakti hai. Sooraj ki harmful UV-rays se bhi omega-3 fatty acid hume protect karta hai. Fatty fish, Vitamin-E ka bhi ek bahut achha source hai, jo aap ki skin ke liye ke bahut hi important anti-oxidant hai.

Avocados

The unstoppable power of avocado | LearnEnglish Teens - British Council

Avacados mein bahut se healthy fats hote hai. Yeh fats humaari body ki sahi functioning ke liye bahut important hote hai, jisme healthy skin bhi shaamil hai. Avacados ka sevan karne se humaari skin moisturized aur flexible rahti hai. Avocados bhi humaari body ke liye Vitamin-E ka ek important source hai.

Vitamin-E humaari skin ke liye ek important antioxidant hai, jo humaari skin ko oxidative damage se bachata hai.

100 gram Avocado mein Vitamin-E ki Daily Value ka 14% aur Vitamin-C ki Daily Value ka 11% hota hai

Walnuts

How many walnuts should you have? | Lifestyle News,The Indian Express

Walnuts jaruri Fatty Acids ka ek important source hote hai, jo humaari body khud nahi bana sakti. Walnuts mein baaki nuts ke mukaable, jyada omega-3 aur omega-6 fatty acids hote hai. Omega-3 fatty acids se skin ka inflammation kam ho jaata hai. Western khaane mein omega-6 bahut jyada paaya jata hai, lekin omega-3 ke sources kam hi hai.

Iske alawa, walnuts mein aur bhi aise nutrients hote hai, jo humaari body ki proper functioning ke liye jaruri hote hai. 28 grams Walnuts mein Zinc ki Daily Value ka 8% zinc hota hai. Zinc body mein wound healing aur bacteria, inflammation rokne ke liye jaruri hai.

Sunflower Seeds

Generally dekha jaaye tho, nuts aur seeds, skin boosting nutrients ke bahut achhe sources hai. Sunflower seeds iska bahut achha example hai.

28 grams Sunflower seeds mein Vitamin E ki Daily Value ka 49%, Selenium ki Daily Value ka 41%, aur Zinc ki Daily Value ka 14%, aur 5.5 grams protein hota hai.

Shakarkandhi

Sweet potatoes: Health benefits and nutritional information

Beta Carotene oranges mein, aur vegetables jaise, gaajar, paalak aur shakarkandhi mein paaya jata hai. Shakarkandhi beta carotene ka ek bahut hi achha source hai. 1/2 cup (100 gram) baked shakarkandhi mein Vitamin A ki Daily Value ka 6 guna hota hai.

Carotenoids jaise beta carotene, sun rays ko rok kar, apne aap humari skin ko healthy rakhta hai. Jab hum is antioxidant ka sevan karte hai tho woh humaari body mein jaa kar, humaari skin ko sun exposure se bachata hai. Is se humaari skin sunburn, cell death aur sookhepan se bachti hai.


Skin | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

McCarthy

McCarthy Or Unke Husband Ne 2 Movies Kiye Release Pandemic Me.

Aadar Jain

Aadar Jain Ne Apne Or Tara Sutaria Hai Relationship Ne Kiya Confirm.